what is bitcoin..? how it work ..? analysis of the most valuable and hidden currency : bitcoin
hellow friend kaise ho aap sab
mera name Rahul pandey
aaj mai ap sab ko future currency bitcoin ke baare me baatne wala hun
what is bitcoin..? how it work ..? analysis of the most valuable and hidden currency : bitcoin
bitcoin kya hain ..? kaise work karta hai
kaha milta hai bitcoin ..?
1 bitcoin ka value kya hain..? bitcoin ke advantage kya..? disadvantage kya hai..?
let starts
rupay paisa or samiridhi ko laxmi ka roop mana jata hai aapne is laxmi yaani paise ke kaie roop dekhe hoge abhi tak
jaise bhartiya rupay, america ka dollar british paund ye jadatar currency kaagaj ke bane hote
ap ine touch kar sakte ho feel kar sakte ho pocket mein rakh sakte
aap jis desh me jaate waha ka currency use karna padta hai
kya apne ese currency ke baare me suna hai jo kise ko dekhai nhi deta hai par bhi aaj ke samay sab se valuable currency ban gya hai
mai bitcoin ke baare me baat kar raha hun ager intenet ek desh hota to bitcoin national currency hota hai
ho sakta hai apne me se bhaut saare log bitcoin ke baare me nhi jaante jo jaante vi hoge vo nhi jaante ho ke bitcoin work kaise karta hai
eslye aaj mai apko most valuable coin bitcoin ke baare me batane wala hun kyu ki 1 bitcoin ka value aj ke samay me 2 lakh ke upper hain
ager simple word me biticoin ko batana ho to bticoin duniya ka first decenteralised crypto currency digital duniya ke liye banaya gya hai bitcoin ka use koi bhi or kahin bhi use kar sakta hai sab badi baate ye hai hume bitcion transfer karne ke liye hume kisi bank yaa third party ka jarurt nhi padta hai hum directly use ko transfer kar sakte hai es trah se paisa transfer karne se bhaut hi small value pay karna minimum 1 indian rs me yaa maximum 2rs
lekin bitcoin ek esa system na ispe kesi goverment na kesi agency na kesi bank ka controll hai ye apne aap me hi ek system hai
bitcoin ka lain dain sirf do logo ke beech me hota hai ye lain dain encrypted hota hai ager simple word me kahe to ye lain dain superfast and super safe hota hain
lekin es lain dain me apke pocket me note or currency nhi ata hai bus kuch digital codes aate hain ye digital code hi apka paisa hota hai
aaj duniya bhar me bitcoin ka usse sayad se eslye bad raha hain
hum bitcoin alag alag name se bula sakte hai jaise hum biticoin ko digital currency bhi bol sakte hai hum bitcoin ko ek code currency bhi bol sakte ek electronic currency jise na hum touch kar sakte na feel hum bus use store kar sakte hai vo bhi internet pe
How bitcoin started
bitcoin ka start ko start Santosi Nakamoto publish kiya 31 october 2008 santosi nakamoto ek programmer the
par real santosi nakomoto kaun hai aaj tak pata nhi chala hai bhaut saare log alag time pe apna ap ko Santosi nakamoto bolte rehte
bitcoin ka start karne ka main maksad es currency badlna nhi tha esey isliye start kiya tha ki logo beena kisi third party ke help ke beena paisa transfer kiya jaa sakta hai do logo me
22 may 2010 ek piza badle 10000 hazar bitcion diya kiya tha tab 1 bitcion ka kimat kareeb 10 cent tha aaj 1 bitcoin ka price intna jada ho gya ki hum soch vi nhi sakte hai bitcoin price valu km nhi hoga vo badte hi rahenga
ab ap ye soch rahe hoge jis bitcoin ke creater ke baare me kuch ata pata nahi jis bitcoin ko chalne logo ko baare me kesi ko kuch aata pata nahi. bitcoin ata kaha se..?
to apko baate de bitcoin addan pradan peer to peer technique jariye hota hai yaani ek computer se dusre computer me pahunch jata hain
lekin in transfer ko safe banate hai vo hazaro log jo apne powerful computer system se in transfer par najar rakte hain or inko check karte hain
jo bhi in transfer ko ko sucessfull kara deta hai use inaam me kuch bitcoin diya jaata hai ese bitcoin ka minning kaha jaata hain yahin new bitcion market me aa jaata hai or use hone lagta hain drashal code language hone wale in transfer ko verify karne wale hazro log inhe minner kaha jata ye log tansaction pe najar rakhte taki iska galt estemall na
aaj se 140 year ke baad bitcoin bana na band ho jaay tab us samay maximum 2,50 core bitcoin hoge
1 ek bitcoin ka kimaat itana hoga ki hum soch nhi skte hai
bitcoin ka puraa khel demand and supply ka
supply kam hua demand automatic bad jayega uska value bhi jada hoga
bitcoin ka kuch advantage se bhi hai kuch disadvantage bhi
chaliye pehle advantage se ke baare mein bata ta hun
Advantage of bitcoin
bitcoin ek safe and easy fast transfer hota hai hain middle main ka involment nhi hota hai ye do logo beech mein transfer hota hain
bhaut sara paisa bhaut bade bade scam paida karta hain economic downtrun face karna padta
kisi ko nhi pata is waqt duniya me kitne dollars hain
lekin agle 125 year me bitcoin limited banega ye avi se tay hai
bank kai ese logo ko paisa de deta jinka irada paisa return karne ka nahi hota hai vo apne ap ko diwaliya deekha deta hain yaa desh chodke bhaag jaate iska bhuktan aam logo ko karna padta hain
lekin digital currency par kisi govement yaa bank ka controll nhi hota hai ek ese computer codin jiske sath ghotla vi nhi kiya ja sakta hai
bitcoin ka disadvantage..
bitcoin ka goverment or agency controll nhi hota hai eslye iska value up and down hota rehta hai
bhaut saare drug or glt chizo kharidne ke ,liye bitcoin ka use karte hai
bhaut sare country esko illegal karar diya hai
ane wala samay bitcoin ka ha eslye maine starting me hi esey future currency kaha hai
tanku for reading ager useful laga hoga plz do cmt kare kuch help chahye hoga to bhi comment kare